Not Yet

Friday, October 19, 2012

My comment on Bollywood Movie: Oh My God (OMG) Is film par mera comment

Sab ka kahna hai ki is Film me Hindu devi-devtao ka majak udaya gaya hai. Kai jagah josh-kharosh/virodh pradarshan ke bhi news mile hai, fir main bhi is film ko dekhne gaya ki hakikat kya hai.
Is film me ku6 ach6i baate bhi hai aur ku6 khaamiya bhi hai. Sabse badi khami "Dharma" alfaaz ko lekar hai, Hamari kaum me bahut kam log samaj pate hai ki Dharma aur Sampraday ke bich me fark kya hai. Dharma hamara apna hota hai, jo hamare apne usoolo pe aadhin hota hai. Jab ki sampraday hame rit-rivajo se milta hai, karmakand karna, tilak lagana, dudh chadhana etc. Karmakand jaisi chiz ka Dharma se koi vasta nahi hota, sampraday se ho sakta hai. Dharma ko Sanskrit me thahraya gaya hai, "Dharmo dharayati iti." matlab Dharma dharan karne ki vastu hai, man se aacharan karne ki vastu hai.
Ek aur khami thi, Vaidik jamane se chale aa rahe rituals par, Vedo ko likhnewale Rishi-muni scince ko ach6i tarah se jante the jo karmakand ham vaidik rivajo ke mutabik karte hai, usme kisi na kisi tarah se science 6ipa hua hai. OMG namak is film me Shivling par dudh ke abhishek ko majak banakar rakh diya. Ab isme kya science hai vah mai science ki jaban me samjata hu. Dudh chadane ka rivaz sirf Savan maas ka tha, jo vakt jate hue pure saal ka ho gaya. Savan maas me dudh bimariya faila sakta tha, ye aaj ki baat nahi hai. Vah dudh pikar ham bimar na ho jae, is vajah se Shivling par chadane ka rivaz bana diya. Janeu, Ardhya, Tilak, Yagya etc sabku6 kisi na kisi tarah science se jude hue hai.

Ab ach6i baate jo tark karna sabke liye mushkil hai, kyuki insan ka nature hai, sabki hamesha galtiya hi dikhti hai.

Sanskrit shabd Ekeshwarvad, jise Arabic me Tauhid aur English me Monotheism kahte hai, jo aaj sabhi religions par ek saman lagna chahiye.

Ishwar hamare maalik jaise nahi hai, balke dost hai.

Aadambar aur dhong ka hamare scriptures ke khilaf hai aur iska khandan kiya gaya hai, aise dhongi jo apne aapko bahot vidvan/shagird samajte hai unhe Gita ka reference dekar samjaya gaya hai. Isme thodi apni baat rakhta hu. YatharthGita ke lekhak swami Adgadanandji ne bhi kaha tha, Kisi Sampraday ka founder ku6 updesh/hidayat deta hai, lekin uske followers us par na chalkar usiki ibaadat karne lagte hai aur fir bhram me pad jaate hai aur yahi bhram Rudhio me tabdil ho jate hai. Baad me agar koi samajdar insan us thos updesho ko samne lata hai, to sab devotees haay haay karne lagte hai, Adharma Adharma ki boom padne lagte hai. Is film me bhi vohi hua hai.

Climax me ek baat dhyan me aai ki scriptures aur kisi bhi guruo ke updesho ko apne alfazo me dhalkar use logo me apne updesho ke taur par bayan nahi karna chahiye, kyuki log aksar kisi updesho par na chalkar usi insaan ki ibaadat karne lagte hai.

Khair, ek sikke ke do pahlu hote hai, gyan paana aur bantna jaroori hai.

Dusri baat Saibaba ki, jo ek vidvan faqir the. Unhone logo ko "Sabka Maalik Ek" kahkar Monotheism ka message diya. Shraddha aur Saburi ko Dharma ki dahleez bataya. Lekin unke updesho ko to kaun manta hai, sab lage hue hai, Shirdi me business aur devotees ko khuleaam lutne me. Holy-place Shirdi aaj maane business-place ban chuka hai!

Hamare purkho ne chaar dhaam, Barah Jyotirlinga jaise kai tirth banaye taki itne bade India me sabhi logo me unity aur brotherhood bana rahe aur koi kuve ka mendhak n bankar rah jaye. Ku6 tirth Indian Republic se bahar (Pakistan, Bangladesh, Nepal, China, Sri Lanka) bhi chale gaye hai. Lekin aajke tirth to maano status symbol ban gae hai. Log mannat rakhte hai, mundan ki, chalne ki, prashad ki aur prashad ka kachra to mano tirthnagri nahi kachranagri ho!

Yah film ek baar jaroor dekhni chahiye. Yah aapko majboor  kar degi apne Dharm aur ritirivaz ke baare me sochne ke liye. Lekin meri guzarish hogi, ki sabki raay lekar apne man se Dharma ka paalan kare. Kahne ko ro bahut likh sakta hu. Bahot bada subject hai yah, Lekin ab apni baat khatam karta hu. Ishwar sabka bhala kare.

No comments:

Post a Comment